Karachi – Pakistan showbiz industry ki mashhoor aur manpasand adakara Hira Mani ne haal hi mein ek talk show mein shirkaat karte hue apne jazbaati mizaj ka khul kar izhar kiya. Adakara ne hans kar lekin poori sanjeedgi se kaha, “Main gusse mein ghar ke darwaze bhi toar deti hoon!”
Unka yeh izhar-e-raai na sirf host ko hairaan kar gaya, balkay fans bhi social media par is par zabardast reactions de rahe hain. Hira Mani ne mazeed kaha ke unka gussa chhoti chhoti baaton par aa jata hai, lekin woh usay jald hi sambhal bhi leti hain.
Fans ne unki honesty ko saraha lekin kuch logon ne unhein tameez aur tahammul ka mashwara bhi de diya. Aksar apni ajeeb-o-ghareeb baaton aur candid style ke liye mashhoor Hira Mani ek bar phir social media par chhayi hui hain.