Mashhoor Pakistani businessman aur samaji karkun Ali Sheikhani ne Zafar Abbas ki khidmat ko sarahte hue kaha hai ke Abdul Sattar Edhi ke baad agar koi asal mayni mein awam ke bare mein sochta hai to wo Zafar Abbas hai.
Ali Sheikhani ka kehna tha ke Zafar Abbas ka falahi kaam be-misaal hai, khas tor par ghareeb aur zarooratmand logon ke liye jo unki madad ke muntazir hote hain. Unho ne kaha ke JDC Foundation ke zariye Zafar Abbas mulk bhar mein insani madad ka mission jari rakhe hue hain, jo ek azeem kaar-e-khair hai.
Zafar Abbas ne be-shumar falahi projects shuru kiye hain, jin mein ghareebon ke liye muft khana, sehat ki sahulat aur muft taleem shamil hai. Unki in khidmaton ki wajah se wo aam awam ke liye umeed ki roshni ban chuke hain.
Ali Sheikhani ke is bayan ke baad social media par bhi Zafar Abbas ki tareef ho rahi hai aur log unki falahi kaushishon ko khiraj-e-tehseen pesh kar rahe hain.